donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zulfiqar Ali Bokhari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham abhii aur bhii kuch roz pariishaaN hoNge *
Ham abhii aur bhii kuch roz pariishaaN hoNge,
uqd-e-mushkil haiN to mushkil se hii aasaaN hoNge,
( uqd-e-mushkil : difficult knot)
taKht apnaa hai magar vaqt nahiiN hai apnaa,
vaqt aayaa to hamiiN log SulemaaN hoNge,
(taKht : throne; SulemaaN : King Solomon)
habs is shah’r meN aisaa hai ke dam ghuTtaa hai,
kab bahaar aayegii kab chaak gariibaaN hoNge,
(habs : confinement)
aaj us bazm-e-tarab meN hameN le chal ai dil,
aaj hamdard ke maare bhii Ghazal-KhvaaN hoNge,
(bazm-e-tarab : joyous gathering)
ye jo haiN shah’r ke vaaiz, ye Khatiibaan-e-kiraam,
ye bhii Allah ne chaahaa to musalmaaN hoNge.
( Khatiibaan-e-kiraam : exalted orators)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400