donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Siraj Dehlvi
 
Share this Design Poetry to Aalmi Urdu Ghar
SIRAJ DEHLVI : Tashreef Shaahe-Deen Ka Laana Jahan Huwa
        
Siraj_Dehlvi_785391420123634.jpg
GROUP-MAUJ-E-SUKHAN.! 

PROGRAMME-61th. ONLINE AALAMI TARHI MUSHAIRA.! 

MISRA-LAB PAR NABI KA ISME-MUBARAK RAWAA'N HUWA.! 

Tashreef Shaahe-Deen Ka Laana Jaha'n Huwa., 
Wo Khitta-E-Zameen To Jannat Nishaa'n Huwa,,
Kono-Makaa'n Me Phel Gaee Boo-E-Ambari., 
Jab-Jab Labo'n Pe Naam-E-Muhammad Rawaa'n Huwa,,
Ummat Ataa Jo Kee Hamein Apne Habeeb Ki., 
Ahsaan Aasiyo'n Pe Tera Laa-Makaa'n Huwa,,
Taareekiyo'n Ka Raaj Tha Aalam Pe Chaar Soo., 
Aamad Se Mustafa Ki Munawwar Jaha'n Huwa,,
Wahdaaniyat Ka Dars Diya Jab Rasool Ne., 
Tab Abdiyat Ka Raaz Jaha'n Par Ayaa'n Huwa,,
Salle Ala Ke Chashme Dilo'n Se Ubal Pade., 
"Har Saa'ns Fart-E-e-Shauq Nikhat Fishaa'n Huwa",,
Kal Shab "Siraj" Khwab Me Aaye They Mustafa., 
Allah Jaane Sach Tha K Mujhko Gumaa'n Huwa....!

SIRAJ DEHLVI @ O.P.AGARWAL 27/12/2014
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386