|
* Dill ki Batain , bata deti hain, Aankhen *
Dill ki Batain , bata deti hain, Aankhen,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen.
Dill par chalta nahi Jaadoo, Chehron ka kabhi,
Dill ko to, Deewana bana deti hain, Aankhen.
Woh hum se baat nahi kartay, to na karay,
Haal sara un k dill ka, Suna deti hain Aankhen.
Gham sada rehta nahi, Aadmi k saath,
Ashk bana kar, Chalka deti hain Aankhen.
Aata hai jab dor-e-Jawani. to aye Dosto,
Sunder Sapnay Zehan mein, Basa deti hain Aankhen
Maana k Neend aati hai, Aankhon hi k rastay,
Magar kabhi kabaar, Neend, Ura deti hain Aankhen
Eesha shukar hain, Khuda nay Ata ki, Aankhon ki Neamat hamain,
Dard-o-Gham, saray Dill k, Chupa deti hain Aankhen
|
|