|
* Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se *
Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se,
Tum se to kam gila hai ziyada nasib se,
Goya tumhari yad hi mera ilaj hai ,
Hota hai paharon zikr tumhara tabib se ,
Barabad-e-dil ka akhiri saramaya thi ummid,
Vo bhi to tum ne chin liya mujh garib se ,
Dhundhala chali nigah dam-e-vapasi hai ab
A pas a ke dekh lun tujh ko qarib se |
|