donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jalwagah e husn e fitrat hai nishan e zindagi, *
Jalwagah e husn e fitrat hai nishan e zindagi,

Su e manzil gamzan hai karwan e zindagi,

Mahram e raz e azal hain rahrawan e raah e shauq,

Ahl e dil jo hain samajhte hain zaban e zindagi,

Hai junoon e inteha e shauq mera khizr e raah,

Haath mein hai jiske ab meri kamaane e zndagi,

Ek gham ho to bataaun tujhse main aye hamnashin,

Lamha lamha de raha hoon imtehaan e zindagi,

Ek toofan e hawadis aa rahaa hai baar baar,

Ud na jaaye sar se mere saibaan e zindagi,

Muntashir hai ab kitaab e zindagi ka har waraq,

Hai mera sooz e duroon sharh e bayaan e zindagi,

Rang jab layega mazloomon ki aanhoon ka asar,

Gir padega us ke sar par aasmaan e zindagi,

Zulm ka Ahmad Ali ho jaayega suraj ghuroob,

Koi phir hoga na uska nauha khwan e zindagi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417