donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Likh raha hoon main wahi padta hai jis se sabqa, *
Likh raha hoon main wahi padta hai jis se sabqa,

Zindagi is daur mein dar asl hai ek haadsa,

Tarjuman e zindgi hai ahd e hazir mein ghazal,

Gardish e haalaat par asri adab hai tabsara,

Zindah hote “Mir Anis” is daur mein to woh bhi aaj

Sirf likhte soz o saaz e zindagi ka marsia,

Hai bahut sabar aazma us sangdil ka intezar

Aazmata hai mujhe hai mujh mein kitna hausla,

Sirf mujhko murid e ilzam thahrata hai who,

De raha hai woh meri qurbaniyon ka yeh sila,

Meri roodad e alam naguftah beh hai in dinon,

Lamha lamha zindagi ka hai meri ek saneha,

Sochta hoon kuchh likhoon phir sochta hoon kya likhoon,

Band hai Ahmad Ali barqi mera ab naatqa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 432