donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sata lein hamko dilchaspi jo hai unko satane mein, *
Sata lein hamko dilchaspi jo hai unko satane mein,
Hamara kya woh ho jayeinge ruswa khud zamane mein,
Ladayegi meri tadbir ab taqdeer se panja,
Natija chahe jo kuchh ho muqaddar aazmane mein,
Jise bhi dekhiye hai gardish e haalaat se naalaan,
Sukoon e dil nahin hasil kisi ko bhi zamane mein,
Who gulchin ho ki bijli sab ki aankhon mein khatakte hain,
Yahi do char tinke jo hain mere aashiyane mein,
Hai kuchh logon ki khaslat nau e insaan ki dilaazaari,
Maza milta hai unko doosron ka dil dukhane mein,
Ajab dastoor e duniya e mohabbat hai are tauba,
Koi roone mein hai mashghool koie muskurane mein
Patingon ko jala Shma e mahfil sab koo aye BARQI,
Dikhane ke liye masroof hai aansoo bahane mein.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 470