donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aao husne yar ki baate’n kare’n *
Aao husne yar ki baate’n kare’n,
Ishq ke izhar ki baate’n kare’n,
Kuchh labo rukhsar ki baate’n kare’n,
Payar aur Takrar ki baate’n kare’n,
Saaze dil woh jis ki tum muzraab ho,
Saz ke us Tar ki baate’n kare’n,
Dastaane zindagi ke kiyo’n na ham,
Markazi kirdar ki baate’n kare’n,
Ghamzah va naaz o ada husne nazar,
Shewae gufar ki baate’n kare’n,
Aaj ham jab sath hai’n To kis liye,
Apne hale zar ki baate’n kare’n,
Bhool kar sab zindagi ke pecho kham,
Gulshan o gulzar ki baate’n kare’n,
Hijr mei’n ham per jo guzri bhool jaye’n,
Phir wesaale yar ki baate’n kare’n,
Bhool kar shikwe gale ho jaye’n aik,
Aaj kiyo’n be kar ki baate’n kare’n,
Chhorh kar Boghzo hasad, fitna fasaad,
Aao sab se pyar ki baate’n kare’n,
Zindagi pazeb ki jhankar hai,
Kiyo’n na us jhankar ki baate’n kare’n,
“Doctor Ahmad Ali Barqi” ke ham,
Dil nashee’n asha’ar ki baate’n kare’n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 437