|
* Toofane hawadis ka dil mera nishana hai *
Toofane hawadis ka dil mera nishana hai,
Ik aag ka dariya hai aur doob ke jana hai,
Jo waadae khelafi me'n ruswaye zamana hai,
Har haal me'n usko aayina dikhana hai,
Yeh waadae farda To bas aik bahana hai,
Kab is se mukar jaye kya us ka Thikaana hai,
Hai sheeshai dil nazuk dar hai na chatak jaye,
Taaza hai jigar kaavi yeh zakhm puraana hai,
Na karda gunahi ki deni hai saza mujh ko,
Koi na koi aakhir gul us ko khilana hai,
Hai peshe nazar mere haq goi va bebaaki,
Munh daaware mahshar koik roz dikhana hai,
Ash'aar "Jigar" ke hai'nmeraaj ghazal khwani,
Aejaz sokhan unka mashhoor zamana hai,
Mai'n le bhi nahi sakta Thukra bhi nahi sakta,
Qismat me'n meri "Barqi" khona hai na paana hai.
|
|