donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Ali Barqi Aazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BAZM E ADAB SAJI HAI TO SHAIR BHI AAEIN GE *
BAZM E ADAB SAJI HAI TO SHAIR BHI AAEIN GE
SAATH APNE LE KE SHER KA DAFTAR BHI AAEIN GE

MAHFIL MEIN AMN O SULH KE PAIKAR BHI AAEIN GE
KUCHH SHAR PASAND LE KE YAHAAN SHAR BHI AAEIN GE

SHEESHE KA GHAR BANAEIN TO IS KA RAHE LEHAAZ
QURB O JAWAR SE KABHI PATHTHAR HI AAEIN GE

HAI IMTEZAAJ E AAMAD O AAURD SHAIRI
DONON SE BE NEYAAZ SUKHANWAR BHI AAEIN GE

POOCHHA JO HAAL E JEB O GAREEBAAN TO BOL UTHE
NASHTAR ZANI KE WASTE NASHTAR BHI AAEIN GE

JO DOSTI KE PARDE MEIN KARTE HAIN DUSHMANI
LE KAR WOH AASTEENON MEIN KHANJAR BHI AAEIN GE

DUNIYA E RANG O BU MEIN YUNHI GAMZAN RAHEIN
"AANKHEIN KHULI RAHEIN GI TO MANZAR BI AAEIN GE"

GANDUM NUMA MILEIN GE KUCHH AISE BHI JAU FAROSH
BARQI JO BAN KE SAMNE RAHBAR BHI AAEIN GE
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 448