|
* Mera dil har kas o nakas pe deewana ahin hota, *
Mera dil har kas o nakas pe deewana ahin hota,
Main us se door rahta hoon jo farzana nahin hota,
Main de dunga use fauran woh mange to sahi mujh se,
Mataa’e dil se behtar ko’ee nazrana nahin hota,
Nahin darkaar kuchh bhi meri khoo’ beneyaazi ko,
Jabhi aabaad mere dil ka kashaana nahin hota,
Mera josh e junoon mashshatah e zulf e pareeshaan hai,
Kabhi bhi mera sar minnat kash e shaana nahin hota,
Hai parwane ko behad ishq shama’e roo’e jaanaaN se,
Agar roshan nahin hoti yeh parwaana nahin hota,
Khushi mein bhi chhalak uthta hai chashm e nam ka paimana,
“Har aansoo dil ki betaabi ka afsana nahi hota”,
Bana leta hai apna sab ko husn e khulq se Barqi,
Dil e dard aashna apnon se begana nahin hota.
|
|