donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab-jab bahar aaii aur phool muskuraye *
Jab-jab bahar aaii aur phool muskuraye
Mujhe tum yaad aaye
Jab-jab bhi chand nikla aur tare jagmagaye
Mujhe tum yaad aaye.


Apna koi fasana maiNe nahiN banaya
Tumne mere laboN pe har ek sur sajaya
Jab-jab mere tarane duniya ne gungunaye
Mujhe tum yaad aaye.


Ek pyar aur wafaa ki tasveer manta huN
Tasveer kya tumheN maiN taqdeer manta huN
Dekhi nazar ne khushiyaN ya dekhe gham ke saye
Mujhe tum yaad aaye.


Mumkin hai zindagani kar jaye bewafaaii
Lekin ye pyar wo hai, jismeiN nahiN judaii
Is pyar ke fasane jab-jab zubaN pe aaye
Mujhe tum yaad aaye.


ANAND BAKSHI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365