donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* koshish karke dekh le dariya sare, nadiyaN sari *
koshish karke dekh le dariya sare, nadiyaN sari
dil ki lagi nahiN bujhti, bujhti hai har chingari.


solah baras ki bali umar ko salaam
ay pyar teri pehli nazar ko salaam
duniya meiN sabse pehle jisne ye dil diya
duniya ke sabse pehle dilbar ko salaam
dil se nikalne wale raste ka shukriya
dil tak pahuNchne wali dagar ko salaam.


jismeiN jawaan hokar badnaam hum huye
us shehr, us gali, us ghar ko salaam
jisne humeN milaya jisne juda kiya
us waqt, us ghadi, us gajar ko salaam.


milte rahe yahaaN hum ye hai yahaaN likha
is likhawat ki zer-o-zabar ko salaam
sahil ki ret par yuN lehra uthaa ye dil
sagar meiN uthne wali har lehar ko salaam
in must gehri-gehri aaNkhoN ki jheel meiN
jisne humeN duboya us bhaNwar ko salaam
ghooNghat ko tod kar jo sar se sarak gaii
aisi nigodii dhani chunar ko salaam
ulfat ke dushmanoN ne koshish hazaar kii
phir bhi nahiN jhuki jo us nazar ko salaam.


ay pyar teri pehli nazar ko salaam.


ANAND BAKSHI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 493