donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kora kaghaz tha ye man mera *
kora kaghaz tha ye man mera
likh diya naam ispe tera
soona aaNgan tha jeevan mera
bas gayaa pyar ismeN tera.


toot na jayeN sapne maiN darta huN
nis din sapnoN meiN dekha karta huN
naina kajrare, matvare, ye ishare
khali darpan tha ye man mera
rach gayaa roop ismeiN tera.


chain gaNvaya maiNne nindiya gaNvaii
sari-sari raat jaguN duN meiN duhaaii
kahuN kya maiN aage, neha lage, jee na lage
koi dushman tha ye man mera
ban gayaa meet jake tera.


baghoN meiN phooloN ke khilne se pehle
tere mere nainoN ke milne se pehle
kahaN thi ye bateN, mulaqateN, aisi raateN
toota tara tha ye man mera
ban gayaa chand hoke tera.


ANAND BAKSHI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395