donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aadmi musafir hai, aata hai jata hai *
aadmi musafir hai, aata hai jata hai
jate-jate raste meiN yaadeN chhorr jata hai.


jhoNka hawaa ka pani ka rela
mele meiN reh jaye jo akela
phir wo akela hi reh jata hai.


kab chhorrta hai ye rog jii ko
dil bhool jata hai jab kisi ko
wo bhool kar bhi yaad aata hai.


kya sath laye kya torr aaye
raste meiN hum kya-kya chorr aaye
manzil pe jake yaad aata hai.


jab dolti hai jeevan ki naiya
koi to ban jata hai khivaiya
koi kinare pe hi doob jata hai.


roti haiN aaNkheN jalta hai dil ye
jab apne ghar se pheNke diye se
aaNgan paraya jagmagaata hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355