donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi ke safar meiN guzar jate haiN jo maqaam *
Zindagi ke safar meiN guzar jate haiN jo maqaam
Wo phir nahiN aate, wo phir nahiN aate.


Phool khilte haiN log milte haiN, magar
Patjharr meiN jo phool murjha jate haiN
Wo bahaaroN ke aane se khilte nahiN
Kuchh log ek roz jo bichhad jate haiN
Wo hazaaroN ke aane se milte nahiN
Umr bhar chahe koi pukara kare unka naam
Wo phir nahiN aate, wo phir nahiN aate.


AaNkh dhokha hai, kya bharosa hai, suno
Dosto shaq dosti ka dushman hai
Apne dil meiN ise ghar banane na do
Kal tadapnaa pade yaad meiN jinki
Rok lo, rooth kar unko jane na do
Baad mein pyar ke chahe bhejo hazaaroN salaam
Wo phir nahiN aate, wo phir nahiN aate.


Subah aati hai, raat jati hai yuN hi
Waqt chaltaa hi rehta hai rukta nahiN
Ek pal meiN ye aage nikal jata hai
Aadmi theek se dekh pata nahiN
Aur parde pe manzar badal jata hai
Ek baar chale jate haiN jo din-raat, subah-o-sham
Wo phir nahiN aate, wo phir nahiN aate.


ANAND BAKSHI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 340