donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* chingari koi bhadke to saawan use bujhaye *
chingari koi bhadke to saawan use bujhaye
saawan jo agan lagaaye use kaun bujhaye.
patjhaR jo bagh ujaaRe wo bagh bahaar khilaye
jo bagh bahaar meiN ujaRe use kaun khilaye.


humse mat poochho kaise mandir toota sapnoN ka
logoN ki baat nahiN hai ye kissa hai apnoN ka
koi dushman thes lagaye to meet jeeya behlaye
manmeet jo ghaav lagaaye use kaun mitaye.


na jane kya ho jata jane hum kya kar jate
peete haiN to zinda haiN na peete to mar jate
duniya jo pyasa rakhe to madira pyaas bujhaye
madira jo pyaas lagaaye use kaun bujhaye.


mana toofaaN ke aage nahiN chalta zor kisi ka
maujoN ka dosh nahiN hai ye dosh hai aur kisi ka
majhdaar meiN naiya dole to majhi paar lagaye
majhi jo naav dubaaye use kaun bachaaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418