donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Bakhshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tum besahara ho to kisi ka sahara bano *
tum besahara ho to kisi ka sahara bano
tumko apne aap hi sahara mil jayega
kashti koi doobti pahuNcha do kinare pe
tumko apne aap hi kinara mil jayega.


haNskar zinda rehna parrta hai
apna dukh khud sehna parrta hai
rastaa chahe kitna lamba ho
dariya ko to behna parrta hai
tum ho ek akele to
ruk mat jaao chal niklo
raste meiN koi sathi tumhara mil jayega.


jeevan to ek jaisa hota hai
koi haNsta koi rota hai
sabr se jeena aasaaN hota hai
fikr se jeena mushkil hota hai
thode phool haiN kaaNte haiN
jo taqdeer ne baaNte haiN
humko inmeN se hissa humara mil jayega.


na basti meiN na veeranoN meiN
na khetoN meiN na khalihanoN meiN
na milta hai pyar bazaaroN meiN
na bikta hai chain dukanoN meiN
dhooNdh rahe ho tum jisko
usko baahar mat dhooNdho
man ke andar dhooNdho preetam pyara mil jayega.


ANAND BAKSHI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400