donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arzoo Lucknawi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii parvaanaa bhii *
Avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii parvaanaa bhii
raat ke aaKhir hote hote Khatm thaa ye afsaanaa bhii

qaid ko tod ke nikalaa jab mai’n uthake baguule saath hue
dasht-e-adam tak jangal jangal bhaag chalaa viiraanaa bhii

haath se kis ne saaghar patkaa mausam kii bekaifii par
itnaa barsaa Toot ke baadal doob chalaa maikhaanaa bhii

Khuun hii kii shirkat vo kyo’n na ho shirkat chiiz hai jhagad kii
apano’n se vo dekh rahaa hoo’n jo na kare begaanaa bhii

ek lagii ke do hai’n asar aur dono’n hasb-e-maraatib hai’n
lau jo lagaaye shammaa khadii hai raqs me hai paravaanaa bhii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 284