donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arzoo Lucknawi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kis ne bhiige hue baalo’n se ye jhatkaa paanii *
Kis ne bhiige hue baalo’n se ye jhatkaa paanii
jhuum ke aaii ghataa Toot ke barsaa paanii

ro liyaa phoot ke siine me jalan ab kyo’n hai
aag pighalaa ke niklaa hai ye jaltaa paanii

koii matvaalii ghata thii ke javaanii kii umang
jo bahaa le gayaa barsaat kaa pahlaa paanii

Tik-Tikii baandhe vo phirte hai’n mai’n is fikr me’n huu’n
kahii’n khaane lage chakkar na ye gehraa paanii

baat karne me’n vo un aankho’n se amrit Tapkaa
'Arzoo' dekhte hii muu’nh me bhar aayaa paanii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 285