* Har saan's pe bas fasl-e-sharar kat raha tha *
Har saan's pe bas fasl-e-sharar kat raha tha
Mai'n umar ka be sood safar kaat raha tha
Dariya ko barha naz tha toofan pe apne
Toofa'n hi kinaro'n ko magar kaat raha tha
Har aik musafir yaha'n hijr ka mara
Jaana tha kidhar , morh kidhar kaat raha tha
Yeh kaise khuli aankh andhero'n ke nagar me'n
Khawabo'n me'n to mai'n fasl-e-sahar kaat raha tha
Us dil me'n utarne ki tamanna bhi ajab thee
Chattan me'n hire ki mai'n kaat raha tha
Suraj na sahi nannha sa jugnu sahi woh
Chadar to andhere ki magar kaat raha tha
Bhatkal Gate, Aurangabad-431001(M.S)
|