donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dr Javed Jamil
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHush hai too mere bina to mar gaya maiN bhi nahiN *
غزل
ڈاکٹر جاوید جمیل 
(پہلے مجموعہ "رہگزر" ١٩٩٨ سے)
 
 
خوش ہے تو میرے بنا تو مر گیا میں بھی نہیں
بے نیازی تجھ میں ہے تو سر پھرا میں بھی نہیں
 
تو رخ_ مہتاب ہے تو بد نما میں بھی نہیں
رس تری آواز میں تو بے سرا میں بھی نہیں
 
چاہتوں میں میری پنہاں ہیں حقیقی راحتیں
عشرتیں تجھ پر فدا ہیں تو گدا میں بھی نہیں
 
فخر کر خود پر مگر اے نازنیں اتنا نہ کر
تو دعاؤں کا صلہ تو بد دعا میں بھی نہیں
 
اب تخیل پر ترے قبضہ نہیں میرا تو کیا  
رات بھر یادوں میں تیری جاگتا میں بھی نہیں
 
جس سبب سے شہر کی گلیوں میں تو مشہور ہے
ہو سبب چاہے وہی، ناآشنا میں بھی نہیں 
 
 صرف اک لغزش پہ میری قطع_ رشتہ مستقل
ہے فرشتہ تو ہی کب، ہاں بے خطا میں بھی نہیں
 
لوٹنا چاہے تووقت اب بھی  ہے باقی، لوٹ آ
تو شریف النفس ہے، دل کا برا میں بھی نہیں
 
وہ بھی اپنی بات پر پوری طرح قائم رہا
اپنی ہٹ سے اک قدم پیچھے ہٹا میں بھی نہیں
 
اب کریں افسوس کیا جو بھی ہوا اچھا ہوا
ہو سکا میرا نہ تو، تیرا ہوا میں بھی نہیں
 
کاش تو مجبوریاں جاوید میری جانتا
ہے وفا خوں میں ترے تو بے وفا میں بھی نہیں
 
 
 
KHush hai too mere bina to mar gaya maiN bhi nahiN
Beniyazi tujh meiN hai to sarphira maiN bhi nahiN
 
Too ruKH-e mahtaab hai to badnuma maiN bhi nahiN
Ras teri aawaz meiN to besura maiN bhi nahiN
 
chahatoN meiN meri pinhaN hain haqiqi raHateiN
IshrateiN tujh par fida haiN to gada maiN bhi nahiN
 
faKHr kar KHud par magar ae nazneeN itna na kar
too duaoN ka sila to bad dua maiN bhi nahiN
 
ab taKHayyul par tere qabza nahiN mera to kya
raat bhar yadoN meiN teri jagta maiN bhi nahiN
 
jis sabab se shahr ki galyoN meiN too mashhoor hai
ho sabab chahe wahi, na-aashna maiN bhi nahiN
 
sirf ek laghzish pe meri qat-e rishta mustaqil
hai farishta too hi kab, haaN be KHata maiN bhi nahiN
 
lautna chahe to waqt ab bhi hai baqi, laut aa
too sharifun nafs hai, dil ka bura maiN bhi nahiN
 
who bhi apni baat par poori tarah qaim raha
apni hat se ek qadam peeCHe hata maiN bhi nahiN
 
ab kareiN afsos kya, job hi hua aCHCHa hua
ho saka mera na too, tera hua maiN bhi nahiN
 
kaash too majbooryaN javed meri jaanta
hai wafa KHooN meiN tere to be wafa maiN bhi nahi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 561