donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazal Tabish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na kar shumaar ki har shae gini nahiiN jaatii *
Na kar shumaar ki har shae gini nahiiN jaatii
ye zindgii hai hisaaboN se jii nahiiN jaatii

ye narm lahja, ye rangiini-e-bayaaN, ye Khuluus
magar laDaaii to aise laDii nahiiN jaatii

sulagte din meN thii baahar, badan meN shab ko rahii
bichhaD ke mujhse bas ek tiirgi nahiiN jaatii

naqaab Daal do jalte udaas suuraj par
andhere jism meN kyuuN roshnii nahiiN jaatii

har ek raah sulagte hue manaazir haiN
magar ye baat kisii se kahii nahiiN jaatii

machalte paanii meN uuNchaaii kii talaash fuzuul hai
pahaaD par to koii bhii nadii nahiiN jaatii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 416