donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftekhar Ajmal Shaheen
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Likkhe'nge roz nayee daastan kaghaz par *
Likkhe'nge roz nayee daastan kaghaz par
Utarden'ge yu'n zehni takaan kaghaz par

Phir us ke baad hi pokhta makaan banta hai
Banati pahle hai duniya makan kaghaz par

Hai'n  naqsh kaghzi Ghalib ke payedar bahut
Gaye hai'n chhor kar aise nishan kaghaz par

Hamare harf  kare'nge mukaalma tum se
Ham apne lafz ko de'nge zoban kaghaz par

Zami'n fikr pe un ki bulandiya dekho
Utar laaye hai'n woh asman kaghaz par

Na jane keya likha us ne jawab me'n khat ke
Laga hai kal se ae "Shaheen'' dhayan kaghaz par

				Falte No.3 Amina Apts. 5D-24,Block-M,
				North Nazimabad, Karachi-33, Pakistan
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 432