|
* Baraabar se bachkar guzar jaane vaale *
Baraabar se bachkar guzar jaane vaale,
ye naale nahii.n be-asar jaane vaale,
muhabbat me.n ham to jiye hai.n jiye.nge,
vo ho.nge ko_ii aur mar jaane vaale,
mere dil kii betaabiyaa.N bhii liye jaa,
dabe paao.n muu.Nh pher ke jaane vaale,
nahii.n jaante kuchh ki jaanaa kahaa.N hai,
chale jaa rahe hai.n magar jaane vaale,
tere ik ishaare pe saakit kha.De hai.n,
nahii.n kah ke sab se guzar jaane vaale. |
|