* Gham-e-yaar hai meraa shefataa mai’n farefataa Gham-e-yaar *
Gham-e-yaar hai meraa shefataa mai’n farefataa Gham-e-yaar
kabhii shaakh-o-sabz-o-barg par kabhii Ghunchaa-o-gul-o-Khaar par
mai’’n chaman me’n chaahe jahaan rahuun meraa haq hai fasal-e-bahaar par
mujhe de na Ghaib me’n dhamakiyaa’n gire laakh baar ye bijaliyaa’n
merii sar-tanak yahii aashiyaa’n merii milkiiyat yahii pyaar hai
merii simt se use ai sabaa ye payaam-e-aaKhir-e-Gham sunaa
abhii dekhanaa ho to dekh jaa ke Khizaan hai apnii bahaar pe
ye fareb-e-jalvaa-e-sar-basar mujhe dar hai ye dil-e-bekhabar
kahiin jam na jaaye terii nazar inhii’n chand naqsh-o-nigaar par
ajab inqalaab-e-zamaanaa hai meraa mukhtasar saa fasaanaa hai
ye jo aaj baar hai dosh par yahii sar thaa zaano-e-yaar par
main rahiin-e-dard sahii magar mujhe aur kyaa chaahiye "Jigar" par
|