donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khurshid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MITTI KI HAANDI *
MITTI KI HAANDI

APNE WATAN KE MITTI SE BANI HAANDI,
HANDI MEI'N BANI CHAYE,
CHAYE KI SONDHI SONDHI KHUSHBOO,
KHUSHBOO APNE WATAN KI MITTI KI,
ALAG ALAG SANSKRITI KI,
ZABAAN KI,APNE PAN KI, TAHZEEB KI,
MITTI KI HAANDI AB HAMARE GHARO'N SE GHAYEB HO RAHI HAI,
HAMAR PEHCHAAN KI TARAH,
JO BACH GAYI HAI'N WOH ANTIK PIECE BAN KAR,
SAJI HAI'N SHOW CASE MEI'N,
ISTEMAAL MEI'N NAHI AATI'N,
LOHE KE BARTANO'N MEI'N KHAATE KHAATE,
AB HAMARE DIL BHI LOHE KE HO GAYE HAI'N,
MAA, BABA,DADA,DADI,NANA,NANI,
SABHI CHEHRE GUM HO GAYE,
WOH CHEHRE,
WOH JISM JISME'N AARYA WART KI ROOH BASA KARTI THII,
KHURSHID HAYAT TUM YATEEM HO GAYE,
AE MERE WATAN KI MITTI!
TUM HI BATAO,
KUMHAAR KYA KARE,
KIDHAR JAAYE,
CHAAK AB KIS KE ISHAARE PER GHOOME,
KE HATHELI KI CHHOTI BARHI UNGLIYAA'N,
ALAG ALAG KHAANO'N MEI'N BIKHAR GAYII HAI'N,
MAGAR KAUN HAI JO ISE SAMJHAAYE?
KE UNGLIYO'N KA ASTITAV HATHELI KE BEGHAIR ADHOORA HAI.

ALAG ALAG SANSKRITI KI,
ZABA'N KI,APNE PAN KI, TAHZEEB KI,
MITTI KI 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 472