* Meri bagiya ki joban *
Meri bagiya ki joban
shaam ki aahat ne phir se ;
tumhare haathon se buni
reshmi dhaago ki chadariya se ;
mere chehra ko dhanp dya hai
aur main soch raha hoon
mera aadha adhoora
jism bhi kitna khubsoorat ho gaya hai.
ye kaisa ittefaq hai
mere quarter men sirf saat darwaze
saat khidkiyan..
sunati rahti hain
har din nai batiyan.
yahi to hain meri sakhiyan
saat darwaze saat khidkiyan..
meri sakhiyan
***********
(meri tahreer ko kisi naam se na pukare'n) |