donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rafi Haider Anjum
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na jane um'r ka woh kaun sa hissa tha *
Na jane um'r ka woh kaun sa hissa tha
Jab mai ne
Sheeshe ka ek ghar banaya tha
Door samundar ke kinare baith kar
Banate hai'n bachche jis tarah ret ke ghar
Sheeshe ka hi sab kuch tha udhar
Sheeshe ki mez aur kursiyaa'n thee'n
Sheeshe ke hi deewar-o-dar
Sheeshe ki ik almari me kaa'nch ki kitabe'n thee'n
Sheeshe ke khushnuma phool the
Aur kaa'nch ki sharaabe'n thee'n
Sheeshe ka tha aatish-daan
Aag thi roshan sheeshe ki
Jane kitna arsaa guzra hoga
Wahshat ka woh kaun sa lamha hoga
Jab sheesho'n ne mujh se baghaawat ki
Aur apne hi ghar me mujh se
Ajnabiyo'n jaisa sulook kiya
Tab mere hatho'n ne pahli baar
Khurdure se ek paththar ka
Sard sa ek lams mahsoos kiya
(Aaj mai ne apne ghar ke kuch aaine toR diye
Kiyo'n ke un ki qalayee khul chuki thi )
Sheeshe ke ab is shikastaa ghar me
Um'r ka woh kaun sa hissa hoga
Jaane kab tak rahna hoga.**
**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408