donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rafi Haider Anjum
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Suno,Kaynat *
Suno,Kaynat
apne school ki dosto'n me
na din saara kato
zara Maa'n ke kamo'n ko ba'nto
ke,ab tum baRi ho rahi ho
zara Maa'n se seekho
ke,ghar kaise banta hai ghar
ghar-girhasti bhi hai ik huner
yeh huner zindagi me tumhare bahut kaam aayega
daal-chaawal ko ik saath kaise pakaye'n ke khichRi bane
goo'ndh kar kaise aate ko roti kare'n
kaise mirchi me lahsan milaye'n to chatni bane
gosh't,machli ka samjho masaala kabhi
apne haatho'n se batti jalaa kar karo tum ujaala kabhi
gass chulhe me jalti yeh jo aag hai
is me bhi raag hai
raag yeh bhi kabhi gungunaya karo
kuch banaya karo
kuch pakaya karo
rakho baahar ki duniya se bhi waasta
apni khaatir chuno ik naya raasta
raaste me ho manzil ki tasweer bhi
khwaab woh dekho,jiski ho ta'abeer bhi*
*****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364