donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rafi Haider Anjum
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai ne bazaar se *
Mai ne bazaar se 
Ek globe khareeda tha 
Ek din.....
Ek shareer bachche ne 
Ise ge'nd samajh kar 
Thokar maari 
Globe kai hisso'n me taqseem ho gaya  
Mai ise phir se joR raha hoo'n  
Roos aur Jermany ke tukRe to mil gaye hai'n 
Bharat na jaane kahaa'n gum ho gaya hai? 
Is talaash me ik um'r guzar gayee 
Ab to beenaai bhi kamzor ho chuki hai 
Aur haath bhi larazte hai'n 
Mai ma'azoor ho chuka hoo'n 
Meri jagah mere bachcho'n ne le li hai....
Shayed yeh bachche baRe ho kar 
Apna Bharat 
Dhoo'nd nikaale'n *****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347