|
* Zamaana guzraa lekin *
Zamaana guzraa lekin
Gumaa'n hota hai jaise
Yeh kal ki baat ho shayad
Woh baat jo tum ne mujh se
College ki seeRhiyo'n par
Sarghoshiyo'n me kahi thi
Aur jisko yaad kar ke
Shab ke pichle pahar der tak.....
Mai jaagta raha tha
Woh baat aaj bhi
Tumhare ho'nto'n par machalti hai,lekin
Ab ghar ki in taweel seeRhiyo'n ko
tai karte karte
Mai thak chuka hoo'n
Tumhaari woh baat
Sunne se pahle hi
Aksar so gaya hoo'n.
****************
|
|