donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab zulf teri mujh pe bikharti nazar aaye *
Jab zulf teri mujh pe bikharti nazar aaye
Bigrhi huee taqdeer sanwarti nazar aaye
Haule se saba jab bhi guzarti nazar aaye
Tasvweer teri dil me’n utarti nazar aaye
Yeh manzil-e- ulfat to nahi’n ahde guzashta
Ik yaad thee dil me’n jo bisarti nazar aaye
Ho’nto’n ki ha’nsi tazgi-e-zakham hai yaaro
Dil me’n yeh chhuri ban ke utarti nazar aaye
Malboose-maseeha me’n chhupe baithe hai’n katil
Ab zeest na kiyo’n inse bhi darti nazar aaye
Bakhshi hai “Kanwal” mai’n ne zeest ko shohrat
Mai’n hoo’n ki ha’nsi lab pe saw’narti nazar aaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 333