* Ek nasha sa jaha’n par chhane laga *
Ek nasha sa jaha’n par chhane laga
Aapka chehra mujhe bhane laga
Chandani bistar pe itrane lagi
Chand baho’n me nazar aane laga
Rooh par madhoshiya’n chhane lagi’n
Jism Ghazle’n wasl ki gane laga
Tum karam farma huwe sad shukriya
Khwab mera mujh ko yaad aane laga
Rafta Rafta yasmin khilne lagi
Mausme-Gul ishque farmane laga
Zulf ki khushbu shagufta lab ‘Kanwal’
Manjare-Purkaif dikhlane laga
|