* Pahunch Ek Mushte-Khaki ki sitaro’n ke jaha’n tak hai *
Pahunch Ek Mushte-Khaki ki sitaro’n ke jaha’n tak hai
Junune-showk ki shohrat zami’n se aasman tak hai
Bana Dala Muhabbat ne unhe’n rashke-maho-akhtar
Jaha’n hairan hai, Ek zarre ka shohra kahkasha’n tak hai
Bhatakti phir rahi hai bagh mei’n be aabru hokar
Fasana barque ka shayad mere hi aashiya’n tak hai
Firaque-yaar mei’n rah rah ke yu’n dil pe guzarta hai
Maza jeene ka duniya mei’n bahare-dostana tak hai
Faquat urhti hui khushbu thi wasle-yaar ki khushiya’n
Magar ek shakhs ke gham ki rishai jishmo-jan tak hai
Koi guzra hai yu’n khushbu lutata sahne-gulshan se
ki khoya sa tasavvur mei’n “Kanwal” daure-khiza’n tak hai
|