donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gham bichharne ka nain sahne lage *
Gham bichharne ka nain sahne lage
Khushnuma manzar khafa rahne lage
Jism ki majbooriya’n raushan huyee
Dooriya’n ki dhoop tan sahne lage
Hoslo’n ke shahar be manzar huye
Aasthao’n ke mahal dhahne lage
Mujh ko bhaati hai gayee rut ki mahak
Us ko achche khawab ke gahne lage
Aagya asparsh ka mausam “Kanwal”
Ansune qisse badan kahne lage
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 308