donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har dam dil ke aa’ngan me lee gham ne hi angrhayee *
Har dam dil ke aa’ngan me lee gham ne hi angrhayee
Bhule se bhi goonj saki na khushiyo’n ki shahnayee
Rang rangeele duniya walo’n ki uf re nadaani
Bante hai’n sab man ke badle tan ke hi shaidayee
Husn ko pooja, chaha , saraha, har dam is duniya ne
Kis yug me’n is ishq ko jag ne sooli nahi’n chadhayee
Tan ke kale bande nange phut paatho’n par soye
Man ke kale logo’n ko gaddao’n par  neend na aayee
Khushiyo’n ke hangame to chalte hi thak jate hai’n
Saath “Kanwal” ka deti hai gham me’n dubi tanhayee
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344