donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har aadmi dukh dard me’n galta’n nazar aayaa *
Har aadmi dukh dard me’n galta’n nazar aayaa
Insan se ghafil mujhe zayada nazar aayaa
Ai daur  taraqqee teri saughaat ajab hai
Jis chehre ko dekha woh pareshaa’n nazar aaya
Uljhi rahi sholo’n se har ek shakhe-nasheman
Gulshan me’n ajab jashne-chiragh nazar aayaa
Tum badle to badla huaa daura’n nazar aayaa
Ruswa sahi, barbaad sahi,  fakhar hai mujh ko
Mai’n ishq ke afsane ka unwa’n nazar aayaa
Kiyo’n raas wafa tujh ko na aayee mere mahboob
Kiyo’n tu meri ulfat se gureza’n nazar aayaa
Laayee hai’ hawis mujh ko “Kanwal” morh pe aise
Mai’n aapni muhabbat se paresha’n nazar aayaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323