* Ham apna haal kuch is tarah maayusana kehte hai *
Ham apna haal kuch is tarah maayusana kehte hai
Ke voh tak sun ke rote hai jinhen begaana kehte hai
Urooj-e-hurmat-e-mae ab koi dekhe ke vaiz tak
Sar-e-mimbar haadis-e-sheesha-o-paimana kehte hai
Naqsh-e-kufr-o-imaan safeh-ehasti ko yeksa hai
Yehi masjib kabhi thi ab jise butkhaana kehte hai
Hamari bhi jawaani thi kabhi ham bhi the rindon mein
Budhape mein dil-e-murdah ka ab afasana kehte hai
‘Safi’ rindon ko is ka band ho jana qayamat hai
Dar-e-tauba hai voh jisko dar-e-maikhana kehte hai
************************** |