* Jo kabhii kahna ho wahaa'n meri zabani kahna *
Jo kabhii kahna ho wahaa'n meri zabani kahna
log kuchh kahe'n tum aag ko paani kahna
aaj woh shakhs zamane mei'n hai ya kta kahdo
jab koi doosra mil jae to saani kahna
gham agar palko'n pe tham jaaye to aansoo kayhiyo
aur bah jayee to muajo'n ki rawaani kahnaa
jitna jee chahe ise aaj haqiqat kahlo
kal ise meri tarah tum bhi kahanii kahna
ab to dhondalaa gaya yaado'n ka har ik naqsh'Shamim'
phir woh de jayee koii apnii nishani kahna
|