donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Guzre hai'n ittefaaq se jab bhi udhar se ham *
Guzre hai'n ittefaaq se jab bhi udhar se ham
Roae lipat lipat ke tere baam-o-dar se ham...!
Tu ai shab-e-firaaq guzar ja kisi tarah............
Phir apna haal poochhe'n ge shaam-o-sahar se ham!
Le jaao aaine ki zaroorat nahi'n rahi...............
Ab khud ko dekhte hai'n kisi ki nazar se ham....!
Aisa nahi'n ke yaad se ghaafil wahi raha...........
Kuchh apne aap se bhi rahe be-khabar se ham.!
Baithe hue hai'n raah me'n kuchh yaad bhi nahi'n
Nikle the kab, kahaa'n ke kiye, apne ghar se ham!
Apna bhi kya orooj tha, kaisa zawaal hai..........?
Ab aur kya gire'n ge maqaam-e-bashar se ham..!
Dushman hai ek azal se shareek-e-safar 'Shamim'
Ek taak me'n laga hai ke laute'n safar se ham......!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 402