donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo'h bhool jaae ga rasta bhi apna chehra bhi.. *
Wo'h bhool jaae ga rasta bhi apna chehra bhi..
Kabhi jo us ne m'eri samt muR ke dekha bhi....!
Ye aur baat hai tum ko nazar nahi'n aaya........
Hamaari aa'nkh me'n sahra tha aur dariya bhi..!
Yahi nahi'n ke faqat haath paao'n baa'ndh diye...
Betha diya hai nigaaho'n pe us ne pahra bhi......!
Ye maanta hu'n ke hamdard hai'n sabhi mere....
Magar kisi ne m'ere dil pe haath rakkha bhi........!
'Shamim' chup tha sawaal-o-jawaab kya karta.....
Kise khabar thi ke goo'nga hai aur bahra bhi........!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374