donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Paas jaata hu'n magar ye'h door hat'ti jaaye hai.. *
GHAZAL
---------
Paas jaata hu'n magar ye'h door hat'ti jaaye hai..
Zindagi ek faasle ke saath kat'ti jaaye hai...........!
Yu'n to din bhar shor karti rahti hai paagal hawa...
Raat hote hi magar mujh me'n simat'ti jaaye hai..!
Sochta hu'n kis tarah qaayam rahe apna wajood....
Zindagi har roz sau khaano'n me'n bat'ti jaaye hai..!
Kuchh to mausam bhi naya hote hue be-ra'ng hai...
Aur kuchh apni tabiyat bhi uchat'ti jaaye hai...........!
Dard, tanhaayi, andhera, eik anjaana sa khauf........
Zindagi apna sabaq har roz rat'ti jaaye hai.............!
Kaun manzil par hame'n pahchaan paaye ga 'Shamim'..
Raaste ki gard se jab shakl at'ti jaaye hai..............!!
***************************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403