|
* Logo'n ka kya qasoor ke naadaan mai'n hii thaa, *
Logo'n ka kya qasoor ke naadaan mai'n hii thaa,
Apni hamaqato'n se pareshaan mai'n hii thaa,
Majboor thaa woh, hausla kis par nikaalta,
Is ke liye to shahar mei'n, aasaan mai'n hii thaa,
Mera hii khauf usko , barabar laga raha,
Yeh jaante hue ke nigahbaan mai'n hii thaa,
Manzar ki simt ab ke kisi kii nazar naa thee,
Sab mujhko tak rahe the ke hairaan mai'n hii thaa,
Duniyaa samajh rahii thee ke, hoga koi faqir,
Kitnii ajeeb baat ke,sultaan mai'n hii thaa,
Phir bhi woh mujh se door bahut door thaa Shamim,
Halaa'n ke us kii aakhirii , pahchaan mai'n hii thaa.
|
|