donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wamiq jaunpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tujh se mil ke dil me.n rah jaatii hai aramaano.n kii baat *
Tujh se mil ke dil me.n rah jaatii hai aramaano.n kii baat,
yaad rahatii hai kise saahil pe tuufaano.n kii baat,

[saahil = shore]

vo to kahiye aaj bhii zanjiir me.n jhankaar hai,
varnaa kis ko yaad rah jaatii hai diivaano.n kii baat,

kyaa kabhii hogii kisii kii tuu magar ai zindagii,
jaan de kar ham ne rakh lii tere diivaano.n kii baat

bazm-e-anjum ho ke bazm-e-Khaak-taa-bazm-e-Khayaal,
jis jagah jaao sunaa_ii degii insaano.n kii baat,

[bazm-e-anjum = gathering of stars; bazm-e-Khaak = wilderness]

phuul se bhii narm-tar 'Wamiq' kabhii apanaa kalaam,
aur kabhii talavaar ham aashuftaa_saamaano.n kii baat.

[narm-tar = softer than]
[aashuftaa = distressed mind]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 767