donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KAHI.N PE JISM KAHI.N PUR KHAYAAL RAHTA HAI, *

KAHI.N PE JISM KAHI.N PUR KHAYAAL RAHTA HAI,

MOHABBATO.N MEI.N KAHA.N AETEDAL RAHTA HAI,

FALAK PE CHAAND NIKALTA HAI AUR DARIYA MEI.N,

BALA KA SHOR, GHAZAB KA UBAAL RAHTA HAI,

DYAARE DIL MEI.N BHI AABAD HAI KOI SAHRA,

YAHAA.N BHI WAJD MEI.N RAQSAA.N GHAZAAL RAHTA HAI,

CHHUPA HAI KOI FASOO.N GAR SARAAB AANKHO.N MEI.N,

KAHI BHI JAAYO USI KA JAMAAL RAHTA HAI,

TAMAAM HOTA NAHI ISHQ NA TAMAAM KABHI,

KOI BHI UMR HO YEH LAA ZAWAAL RAHTA HAI,

WESAALE JISM KI SOORAT NIKAL TO AATI HAI,

DILO.N MEI.N HIJR KA MAUSAM BAHAAL RAHTA HAI,

KHUSHI KE LAAKH WASAAEL KHARIID LO AALAM,

DILE SHIKASTA MAGAR PUR MALAAL RAHTA HAI,

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364