donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MAI.N JIS JAGAH BHI RAHOO.NGA WAHI.N PE AAYEGA, *

MAI.N JIS JAGAH BHI RAHOO.NGA WAHI.N PE AAYEGA,

MERA SITARA KISI DIN ZAMEE.N PE AAYEGA,

LAKIR KHAI.NCH KE BAITHI HAI TISHNAGI MERI,

BAS AIK ZID HAI KE DARIYA YAHI.N PE AAYEGA,

MUHIIB SAAYE BARHE AATE HAI.N HAMARI TARAF,

KAB ETABAAR HAME.N DOORBEE.N PER AAYEGA,

AB IS ADA SE HAWAAE.N DIYE BUJHAE.NGI,

KE ITHAAM BHI KHANA NASHII.N PE AAYEGA,

KAMAANE WAQT NE HAM KO HADAF BANAYA HAI,

KAHI.N SE TIIR CHALEGA HAMII.N PE AAYEGA,

URHAA RAHA HOO.N GHUBAARA MAGAR PATA HAI MUJHE,

ZARA SI DER MEI.N WAPAS ZAMI.N PE AAYEGA,

KHOLOOS DIL SE HUE KAB MAZAKRE AALAM,

HAR AIK FAISLA AAKHIR NAHI.N PE AAYEGA.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325