donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* THAPAK THAPAK KE JINHE.N HAM SULAATE RAHTE HAI.N,, *

THAPAK THAPAK KE JINHE.N HAM SULAATE RAHTE HAI.N,

WOH KHAWB HAMKO HAMESHA JAGATE RAHTE HAI.N,

UMIDE.N JAAGTI RAHTI HAI.N,SOTI RAHTI HAI.N,

DARIICHE SHAMA JALATE,BUJHATE RAHTE HAI.N,

NAA JANE KISKA HAME.N INTEZAAR RAHTA HAI,

KE BAAM O DAR KO HAMESHA SAJATE RAHTE HAI.N,

KISI KO DHOO.NDTE HAI.N HAM KISI KE PEEKAR MEI.N,

KISI KA CHEHRA KISI SE MILAATE RAHTE HAI.N,

WOH NAQSHE KHWAAB MOKAMMAL KABHI NAHI HOTA,

TAMAM UMR JISE HAM BANATE RAHTE HAI.N,

ISI KA AKS HAR IK RANG MEI.N JHALAKTA HAI,

WOH AIK DARD JISE HAM CHHUPAATE RAHTE HAI.N,

HAME.N KHABAR HAI KABHI LAUT KAR NA AAYE.NGE,

GAYE DINO.N KO MAGAR HAM BULAATE RAHTE HAI.N,

YEH KHEL SIRF TUM HI KHELTE NAHI AALAM,

SABHI KHOLAA MEI.N LAKIIRE.N BANAATE RAHTE HAI.N.

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360