donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kya sath mere ko-ee bala chalne lagi hai, *

Kya sath mere ko-ee bala chalne lagi hai,

Parchhai.n bhi ab mujh se juda chalne lagi hai,

Mausam ki ada mere samajh me.n nahi aati,

Sar sar ki tarah bade saba chalne lagi hai,

Aati hi nahi mere kharabe ki taraf voh,

Ab chalk ko-ee aur ghata chalne lagi hai,

Main palke bichha-e hu-e baitha to idhar hoo.n,

Sunta hoo.n udhar tazah hawa chalne lagi hai,

Khatir me.n nahi late kharidar ko apne,

Lagta hai duka.n unki zara chalne lagi hai,

Har saans me.n ab uski dhamak sunne laga hoo.n,

Shahe rag me.n mere ko-ee sada chalne lagi hai,

Ham door hu-ee jate hai.n har lamha khuda se,

Kis rah pe ab khalqe khuda chalne lagi hai,

Shahro.n me.n use kaisa marz ho gaya Aalam,

Do char qadam peechhe wafa chalne lagi hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359