donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Badal rahi hai har ek chiiz tajurbe ke sath, *

Badal rahi hai har ek chiiz tajurbe ke sath,

Badal raha hoo.n mai.n khud ko bhi aayine ke sath,

Mai.n dar raha hoo.n nayee rahguzar pe chalte huye,

Badal na jaye.n manazil bhi raste ke sath,

Akela chalne laga hoo.n ke sust ro hoo.n mai.n,

Guzarah hota nahi mera qaafle ke sath,

Mai.n toot jata hoo.n kiyo.n manzilo.n ke qariib,

Safar shuru to karta hoo.n hausle ke sath,

Mere safar ka bhi koyee to zaabta hoga,

Zamii.n ghumti hai ek silsile ke sath,

Mere hi khwab se uska hai koyee rishta kya,

Ye shahar jaagta hai mere jaagne ke sath,

Usi ke sath huaa din me raigaa.n mai.n bhi,

Tamam raat jala hoo.n jis diye ke sath,

Faqir shahar hai.n ab ekhteyar keya apna,

Guzar rahi hai hamari bhale bure ke sath,

Ajiib chiiz hai Aalam hamare sine me,

Zamana toot gaya uske tootne ke sath.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 334